Mushafi Ghulam Hamdani

mazhab ki mere yar agar justuju karen

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
maz.hab kī mere yaar agar justujū kareñ
marte hue mirā na sū-e-qibla rū kareñ
thā maiñ sharāb-dost bahut, merī ḳhaak ke
kaase banāne chāhiyeñ kuchh, kuchh subū kareñ
mazkūr mere girye kā ho jis jagah vahāñ
ahl-e-namāz jā-e-tayammum vazū kareñ
bāñg-e-zabīh ho na kabhī āshnā-e-gosh
kyūñ-kar tire shahīd fuġhāñ be-gulū kareñ
gar tū sune to silsila-e-zulf ke asiir
sharh-e-niyāz-mandī-e-dil mū-ba-mū kareñ
us ke dahān-e-tañg meñ jā-e-suḳhan nahīñ
ham guftugū kareñ bhī to kyā guftugū kareñ
tālib haiñ dil se husn-e-mohabbat-fazā ke ham
is se ziyāda aur tujhe ḳhūb-rū kareñ
zindāñ meñ us ke haiñ to ka.ī be-gunah asiir
ġhālib ki roz-e-īd inheñ surḳh-rū kareñ
da.ave meñ tere ishq ke sādiq na ho sake
sharmindagī se kyūñki na ham sar-farū kareñ
charḳh-e-hazār-raḳhna kā paivand kyūñki ho
ye shaal vo nahīñ hai ki jis ko rafū kareñ
khulvā do un kī fasd ki dīvāne haiñ vo shaḳhs
jo fasl-e-gul meñ merā garebāñ rafū kareñ
ye chāhiye hai ham ko ki ham sab se mil chaleñ
ai 'mus.hafī' kisī ko na apnā adū kareñ
Top Urdushayar.com