Mushafi Ghulam Hamdani

kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kab sabā sū-e-asīrān-e-qafas aatī hai
kab ye un tak ḳhabar-e-āmad-e-gul laatī hai
duḳhtar-e-raz kī huuñ sohbat kā mubāshir kyūñkar
abhī kam-sin hai bahut mard se sharmātī hai
kyūñki farba na nazar aave tirī zulf kī laT
joñk sī ye to mirā ḳhuun hī pī jaatī hai
jism ne rūh-e-ravāñ se ye kahā turbat meñ
ab mujhe chhoḌ ke tanhā tū kahāñ jaatī hai
kyā magar us ne sunā shuhra-e-husn us gul kā
āñkheñ kohhāl se nargis bhī jo banvātī hai
laakh ham sher kaheñ laakh ibārat likkheñ
baat vo hai jo tire dil meñ jagah paatī hai
hove kis tarah dilerāna vo āshiq se do-chār
apne bhī aks se jo aañkh ki sharmātī hai
'mus.hafī' ko nahīñ kuchh vasf-e-izāfī se to kaam
sher kahnā zi-bas us kā sifat-e-zātī hai
Top Urdushayar.com