ye jo apne haath meñ dāman sambhāle jaate haiñ
pīchhe pīchhe in ke, in par marne vaale jaate haiñ
lutf o ranjish kā tamāshā hai ki din meñ laakh baar
gah bulā.e jaate haiñ ham gah nikāle jaate haiñ
jaan se jaate rahe haiñ bas-ki lākhoñ be-gunāh
har taraf kūche meñ us ke ḳhuuñ ke naale jaate haiñ
sa.ī tū apnī na kar ai girya sarf-e-shist-o-shū
dil ke dhone se koī ye daaġh kaale jaate haiñ
gar nahīñ hai va.ada gah vo ko to kyuuñ rātoñ ko log
us ke kūche meñ añdhere aur ujāle jaate haiñ
us ke kānoñ tak rasā.ī kyuuñ nahīñ hairān huuñ
arsh-e-a.azam tak to mere shab ke naale jaate haiñ
ho gayā huuñ maiñ to un kā 'mus.hafī' halqa-ba-gosh
yaad se merī kab un kānoñ ke baale jaate haiñ