Mushafi Ghulam Hamdani

boiye mazra-e-dil mein jo inayat ke bij

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
boiye mazra-e-dil meñ jo ināyāt ke biij
to na hoñ sabz kabhī apnī shikāyāt ke biij
ham ne is mazra.a-e-hastī meñ kiye haiñ jo amal
ek din khīñcheñge sar un kī mukāfāt ke biij
aah dahqān-e-falak kī kahūñ kyā bad-tuḳhmī
ḳhāk-e-adām meñ ye nit bove hai āfāt ke biij
bāġhbāñ jab ta.iiñ haath aave tire bazr-ul-banj
merī turbat pe na bo aur nabātāt ke biij
valad-ul-qahba se pūchho na, tirī zaat hai kyā
biij meñ us ke haiñ maḳhlūt ka.ī zaat ke biij
daaġh siine ke mire turfa dikhāte haiñ bahār
haiñ ye bo.e hue kis naḳhl-e-tilismāt ke biij
bistar-e-shaiḳh pe jo koñch kī phalliyāñ niklīñ
the chhupā.e hue shāyad usī bad-zāt ke biij
un ko kyā hove hai juz rizq-e-pareshāñ hāsil
jā-ba-jā bote phireñ haiñ jo mulāqāt ke biij
'mus.hafī' is se bhī behtar ġhazal ik aur sunā
vādī-e-fikr meñ bo kar tū ḳhayālāt ke biij
Top Urdushayar.com