Mushafi Ghulam Hamdani

sote hain hum zamin par kya KHak zindagi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
sote haiñ ham zamīñ par kyā ḳhaak zindagī hai
maaTī meñ san rahe haiñ nāpāk zindagī hai
ġhair-az-libās-e-zāhir sūrat na pakḌe ma.anī
tasvīr ke varaq par poshāk zindagī hai
sar kaaT kar na merā fitrāk se lagāve
samjhe agar vo us kī fitrāk zindagī hai
kyūñ-kar kare na har-dam qat-e-manāzil-e-umr
teġh-e-zabāñ se apnī chālāk zindagī hai
jiite haiñ dekh kar ham zulf-e-siyah ko us kī
afyūniyoñ kī jaise tiryāk zindagī hai
de vasl kā tū va.ada jhūTā unhoñ ko jā kar
is baat se jinhoñ kī imlāk zindagī hai
ma.anī niyāz ke ik nikleñ haiñ bas-ki is meñ
al-hamd meñ hamārī iyyāk zindagī hai
gar naak ho na muñh par kyā lutf zindagī kā
insān ke badan meñ ye naak zindagī hai
do din meñ aa rahe hai ḳhat kā javāb vaañ se
ai 'mus.hafī' hamārī ye Daak zindagī hai
Top Urdushayar.com