jab tak ki tirī gāliyāñ khāne ke nahīñ ham
uTh kar tire darvāze se jaane ke nahīñ ham
jitnā ki ye duniyā meñ hameñ ḳhvār rakhe hai
itne to gunahgār zamāne ke nahīñ ham
ho jāveñge pāmāl guzar jāveñge jī se
par sar tire qadmoñ se uThāne ke nahīñ ham
aane do use jis ke liye chaak kiyā hai
nāseh se garebāñ ko silāne ke nahīñ ham
jab tak ki na chhiḌkegā gulāb aap vo aa kar
is ġhash se kabhī hosh meñ aane ke nahīñ ham
jāveñge sabā baaġh meñ gul-gasht-e-chaman ko
par terī tarah ḳhaak uḌāne ke nahīñ ham
ai 'mus.hafī' ḳhush hone kā nahīñ ham se vo jab tak
sar kaaT ke nazr us ko bhijāne ke nahīñ ham