zulmāt-e-shab-e-hijr kī āfāt hai aur tū
jo dam hai ġhanīmat hai ki phir raat hai aur to
ik ham se hī milne meñ ta.ammul hai vagarna
ġhairoñ se vahī terī mulāqāt hai aur tū
yaañ roz-e-siyāh o shab-e-tārīk hai aur ham
vaañ ā.īna-e-bāġh-e-tilismāt hai aur tū
mar jaane kī jā hai ki sanam do do pahar tak
har ik se sar-e-bām ishārāt hai aur tū
sau bāteñ huiiñ to na milā apne se ai dil
kyā baat hai terī ki vahī baat hai aur tū
ne huur na insāñ na parī aur na farishta
jis husn o sabāhat meñ tirī gaat hai aur tū
zindān-e-firāq o lab-e-ḳhāmosh hai aur ham
sair-e-chaman o harf-o-hikāyāt hai aur tū
hovegā na ye hasti-e-fānī kā bakheḌā
ik roz ye hogā ki tirī zaat hai aur tū
naumīd na ho hijr meñ ai 'mus.hafī' us se
do din ko vahī lutf-o-ināyāt hai aur tū
kuḌh mat ki farāġhat kī bhī aa jaa.e hai saa.at
phir maan divāne vahī auqāt hai aur tū