pahlū meñ rah gayā yuuñ ye dil taḌap taḌap kar
rah jaa.e jaise koī bismil taḌap taḌap kar
majnūn-e-be-ḳhirad ne dī jaañ ba-nā-umīdī
lailā kā dekhte hī mahmil taḌap taḌap kar
kahiyo sabā jo jaave mazbūh-e-ġham ne tere
āsān kī shab apnī mushkil taḌap taḌap kar
us pardagī ne apnā āñchal nahīñ dikhāyā
mar mar ga.e haiñ us ke maa.il taḌap taḌap kar
qātil kā mere kūcha hai ḳhvāb-gāh-e-rāhat
kyā kyā na so rahe yaañ ghāyal taḌap taḌap kar
haal us ġharīq kā hai jā-e-tarahhum ai dil
rah jaa.e hai jo zer-e-sāhil taḌap taḌap kar
qaabū meñ aa.e par maiñ chhoḌā na us ko hargiz
bal khā ke garche niklā qātil taḌap taḌap kar
tū ne to aabrū hī kho dī hamārī ai dil
maqtal meñ āshiqoñ ke shāmil taḌap taḌap kar
jhumke dikhā ke us ko tū ne jo muñh dikhāyā
mar hī gayā na terā saa.il taḌap taḌap kar
go murġh-e-nāma-bar ko bismil kiyā hai us ne
tai kar rahegā āḳhir manzil taḌap taḌap kar
furqat meñ us kī tū ne ai 'mus.hafī' batā tū
juz-ashk-e-ḳhūñ kiyā kyā hāsil taḌap taḌap kar
mujh ko ye sūjhtā hai nāhaq tū jaan degā
ik din isī tarah se jāhil taḌap taḌap kar