Mushafi Ghulam Hamdani

gham-e-dil ka bayan chhoD gae

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ġham-e-dil kā bayān chhoḌ ga.e
ham ye apnā nishān chhoḌ ga.e
tirī dahshat se baaġh meñ sayyād
murġh sab āshiyān chhoḌ ga.e
raah meñ mujh ko ham-rahāñ mere
jaan ko nā-tavān chhoḌ ga.e
nafrat aa.ī sag-o-humā ko kyā
jo mire ustuḳhvān chhoḌ ga.e
chalte chalte bhī ye jafā-keshāñ
haath mujh par nidān chhoḌ ga.e
kisī dar par unhoñ ko jā na milī
jo tirā āstān chhoḌ ga.e
safar is dil se kar ga.e ġham-o-dard
yaar suunā makān chhoḌ ga.e
saf.ha-e-rozgār par likh likh
ishq kī dāstān chhoḌ ga.e
le ga.e sab badan zamīñ meñ ham
'mus.hafī' ik zabān chhoḌ ga.e
Top Urdushayar.com