Mushafi Ghulam Hamdani

kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kyā chamke ab faqat mirī naale kī shā.erī
is ahd meñ hai teġh kī bhāle kī shā.erī
sāmān sab tarah kā ho laḌne kā jin ke paas
hai aaj kal unhīñ kī masāle kī shā.erī
shā.er risāla-dār na dekhe na maiñ sune
ījād hai unheñ kā risāle kī shā.erī
mard-e-galīm-posh ko yaañ pūchhtā hai kaun
gar garm hai to shaal doshāle kī shā.erī
ye sher garm garm paḌhe jaate yuuñ nahīñ
muñh boltī hai garm nivāle kī shā.erī
naḳhra bhī sher meñ ho to haañ 'soz' kā sā ho
kis kaam kī vagarna chhināle kī shā.erī
dīvān jin ke kafsh se afzūñ nahīñ zarā
karte haiñ kyā vo log kasāle kī shā.erī
chūne ke kāġhazoñ pe jhaḌeñ haiñ jo apne sher
ya.anī ki aa rahī hai divāle kī shā.erī
kaisā hī baḌh chale vo kalām-e-sharīf par
sarsabz ho kabhī na rizāle kī shā.erī
ba.azoñ ne tab to sher pe 'hasrat' ke yuuñ kahā
kyā dāl-mūTh bechne vaale kī shā.erī
huuñ 'mus.hafī' maiñ tājir-e-mulk-e-suḳhan ki hai
'ḳhusro' kī tarah yaañ bhī aTāle kī shā.erī
Top Urdushayar.com