Mushafi Ghulam Hamdani

nazar kya aae zat-e-haq kisi ko

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
nazar kyā aa.e zāt-e-haq kisī ko
ḳhayāl us kā nahīñ mutlaq kisī ko
na thā āshiq ke ḳhuuñ meñ rañg gulzār
koī to de gayā raunaq kisī ko
muqayyad meñ muqayyad hai vo mutlaq
na sūjhā itnā bhī mutlaq kisī ko
na kar itnī bhī nāseh harza-goī
ḳhush aatī kab hai ye baq-baq kisī ko
fareb-e-mudda.ī khāte haiñ kab ham
magar samjhā hai vo ahmaq kisī ko
jigar hai chaak chāk-e-āstīñ se
dikhā.ī tū ne kyā mirfaq kisī ko
riyāz-e-vasl se vaqt-e-saqīmī
na haath aa.ī kabhī sarmaq kisī ko
tasavvur meñ tire ai shola-e-husn
nahīñ ārām chuuñ zībaq kisī ko
bharosā kyā hai dil kā bahr-e-ġham meñ
Dubo deve na ye zoraq kisī ko
nikalne aap se detā nahīñ aah
tilism-e-gumbad-e-arzaq kisī ko
dikhā de chāñdnī meñ apnā mukhḌā
sanam mil kar zarā abraq kisī ko
'vahīd'-e-dahr hai ai 'mus.hafī' tū
na apne saath kar mulhaq kisī ko
Top Urdushayar.com