muddat se huuñ maiñ sar-ḳhush-e-sahbā-e-shā.erī
nādāñ hai jis ko mujh se hai da.avā-e-shā.erī
maiñ lucknow meñ zamzama-sañjān-e-shahr ko
barsoñ dikhā chukā huuñ tamāshā-e-shā.erī
phabtā nahīñ hai bazm-e-amīrān-e-dahr meñ
shā.er ko mere sāmne ġhauġhā-e-shā.erī
ik turfa ḳhar se kaam paḌā hai mujhe ki haa.e
samjhe hai aap ko vo masīhā-e-shā.erī
hai shā.eroñ kī ab ke zamāne meñ ye ma.āsh
phirte haiñ bechte hue kālā-e-shā.erī
letā nahīñ jo mol koī muft bhī use
ḳhiffat uThā ke aate haiñ ghar vaa.e shā.erī
ai 'mus.hafī' ze-gosha-e-ḳhalvat-burūñ ḳhirām
ḳhālīst az-barā.e tū ḳhud jā-e-shā.erī
har sifla-rā zabān-o-bayān-e-tū-kai rasad
aare tuī fuġhānī o bābā-e-shā.erī
majnūñ manam chirā digare rañj mī burad
dar hissa-e-man āmada lailā-e-shā.erī