Mushafi Ghulam Hamdani

kal patang usne jo bazar se mangwa bheja

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kal patañg us ne jo bāzār se mañgvā bhejā
saada māñjhe kā use maah ne golā bhejā
naam kā us ke jo maiñ kah ke muammā bhejā
ye bhī harakat hai burī us ne ye farmā bhejā
us kī farmā.isheñ kyā kyā na bajā laayā maiñ
kabhī paTTā kabhī lachkā kabhī goTā bhejā
qais o farhād ko jāgīr yahī ishq ne dī
ek ko koh milā ek ko sahrā bhejā
sozan o shāna o ā.īna ḳharīde ham ne
kabhī bhejā bhī to us gul ko ye saudā bhejā
phir tah-e-ḳhāk mirā dāġh-e-jigar taaza huā
kis ne turbat pe mirī lāla-e-hamrā bhejā
āshiqoñ meñ use ginte nahīñ vārasta-mizāj
jis ne tā-nok-e-qalam harf-e-tamannā bhejā
dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar kulfat-e-ġham dard-e-firāq
hazrat-e-ishq ne kyā kyā nahīñ tohfa bhejā
'mus.hafī' jā ke vahāñ bhuul ga.e kyā ham ko
kabhī yārān-e-adam ne jo na purza bhejā
Top Urdushayar.com