Mushafi Ghulam Hamdani

wo chandni raat aur wo mulaqat ka aalam

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
vo chāñdnī raat aur vo mulāqāt kā aalam
kyā lutf meñ guzrā hai ġharaz raat kā aalam
jaatā huuñ jo majlis meñ shab us rashk-e-parī kī
aatā hai nazar mujh ko tilismāt kā aalam
barsoñ nahīñ kartā tū kabhū baat kisū se
mushtāq hī rahtā hai tirī baat kā aalam
kar majlis-e-ḳhūbāñ meñ zarā sair ki bāham
hotā hai ajab un ke ishārāt kā aalam
dil us kā na loTe kabhī phūloñ kī safā par
shabnam ko dikhā duuñ jo tire gaat kā aalam
ham log sifāt us kī bayāñ karte haiñ varna
hai vahm o ḳhirad se bhī pare zaat kā aalam
vo kaalī ghaTā aur vo bijlī kā chamaknā
vo meñh kī bauchhāḌeñ vo barsāt kā aalam
dekhā jo shab-e-hijr to royā maiñ ki us vaqt
yaad aayā shab-e-vasl ke auqāt kā aalam
ham 'mus.hafī' qaane haiñ ba-ḳhushk-o-tar-e-gītī
hai apne to nazdīk musāvāt kā aalam
Top Urdushayar.com