Mushafi Ghulam Hamdani

garche ai dil aashiq-e-shaida hai tu

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
garche ai dil āshiq-e-shaidā hai tū
lekin apne kaam meñ yaktā hai tū
āshiq o ma.ashūq kartā hai judā
ai falak ye kaam bhī kartā hai tū
laakh parde gar hoñ tere husn par
koī pardoñ meñ chhupā rahtā hai tū
hāl-e-dil kahne lagūñ huuñ maiñ to shoḳh
mujh se yuuñ kahtā hai ''kyā baktā hai tuu''
paas baiThā us ke maiñ royā kiyā
yuuñ na pūchhā mujh se ''kyūñ rotā hai tuu''
raat din tū hai mirī āġhosh meñ
maiñ tirā sāhil mirā dariyā hai tū
bazm meñ us tund-ḳhū kī dauḌ dauḌ
kaam kyaa? kyūñ? kis liye jaatā hai tū
vaañ nahīñ mutlaq tirā mazkūr bhī
'mus.hafī' kis baat par bhūlā hai tū
Top Urdushayar.com