Mushafi Ghulam Hamdani

band bhi aankhon ko zari kijiye

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
band bhī āñkhoñ ko zarī kījiye
chand pareshāñ-nazarī kījiye
ik nazar īdhar bhī zarī kījiye
gar nahīñ achchhī, nazarī kījiye
dil ke evaz dījiye bosa hī ek
ḳhuub nahīñ muft-barī kījiye
ā.īne meñ dekhiye mukhḌā miyāñ
ā.īne ko rashk-e-parī kījiye
gar nahīñ qāsid to badal kar ke bhes
aap hī paiġhambarī kījiye
qadar hunar kī jo huī dekh lī
ab hunar-e-be-hunarī kījiye
kaun hai in bātoñ kā maane miyāñ
ḳhuub sī bedād-garī kījiye
dil kī kuchh us kū se na aa.ī ḳhabar
mātam-e-yār-e-safarī kījiye
'mus.hafī' hai vaqt-e-vidā-e-jahāñ
misl-e-charāġh-e-saharī kījiye
Top Urdushayar.com