aql ga.ī hai sab kī khoī kyā ye ḳhalq divānī hai
aap halāl maiñ hotā huuñ in logoñ ko qurbānī hai
nutq-e-zabāñ gar hotā mujh ko pūchhtā maiñ taqsīr mirī
haañ ye magar do āñkheñ haiñ so in se ashk-fishānī hai
ghaas charī hai jañgal kī maiñ juun meñ dumbe bakre kī
un kā kuchh Dhālā ki bigāḌā jis par ḳhanjar raanī hai
tiin jagah se mere gale ko misl-e-shutur ye kāTte haiñ
dīn-e-mohammadī hai jo ḳhalīlī us kī ye tuġhyānī hai
jins ne jins ko qatl kiyā kab dekhiyo bad-zātī to zarā
ya.anī jo ho mard-e-musalmāñ us kī ye hī nishānī hai
kāfir dil jallād nahīñ ham zaḳhm ko ek samajhte haiñ
ham ko jo is kaam kā samjhe us kī ye nādānī hai
rāh-e-razā par apnā galā kaTvā.e jo nīche ḳhanjar ke
'mus.hafī' us ko ham ye kaheñge vo bhī husain-e-sānī hai