Mushafi Ghulam Hamdani

aasan nahin hai tanha dar us ka baz karna

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
āsāñ nahīñ hai tanhā dar us kā baaz karnā
lāzim hai pāsbāñ se ab ham ko saaz karnā
gar ham mushīr hote allāh ke to kahte
yaanī visāl kī shab yā rab darāz karnā
us kā salām mujh se ab kyā hai gardish-e-rau
tiflī meñ maiñ sikhāyā jis ko namāz karnā
az-bas-ki ḳhuun dil kā khātā hai josh har dam
mushkil huā hai ham ko iḳhfā-e-rāz karnā
bā-yak-niyāz us se kyūñkar koī bar aave
aatā ho sau tarah se jis ko ki naaz karnā
karte haiñ choT āḳhir ye āhuān-e-badmast
āñkhoñ se us kī ai dil Tuk ehtirāz karnā
ai aah us ke dil meñ tāsīr ho to jānūñ
hai varna kaam kitnā patthar gudāz karnā
hovegī sub.h raushan ik dam meñ vasl kī shab
band-e-qabā ko apne zālim na baaz karnā
ai 'mus.hafī' haiñ do chiiz ab yād-gār-e-daurāñ
us se tū naaz karnā mujh se niyāz karnā
Top Urdushayar.com