Mushafi Ghulam Hamdani

har-chand ki wo jawan nahin hum

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
har-chand ki vo javāñ nahīñ ham
itne bhī to nā-tavāñ nahīñ ham
qīmat hai hamārī ik tabassum
is nirḳh pe kuchh girāñ nahīñ ham
haiñ kunj-e-qafas ke rahne vaale
parvarda-e-āshiyāñ nahīñ ham
kyuuñ dar pe raheñ hamesha baiThe
kuchh aap ke pāsbāñ nahīñ ham
tasvīr kisī kī dekhte haiñ
mahv-e-gul-o-bostāñ nahīñ ham
gar aañkh zarā bhī tū ne pherī
to gardish-e-āsmāñ nahīñ ham
hāthoñ se tire bahār-e-ḳhūbī
sharminda-e-barg-e-pāñ nahīñ ham
tum tak bhī pahuñch raheñge āḳhir
kuchh duur to ham-rahāñ nahīñ ham
kis roz jarāhatoñ pe dil kī
ashkoñ se namak-fishāñ nahīñ ham
majlis se kare hai ham ko bāhar
goyā ki mizāj-dāñ nahīñ ham
saa.e se hamāre itnī nafrat
kāfir bhī to ai butāñ nahīñ ham
hai chaar taraf hamārā jalva
DhūñDe jo koī kahāñ nahīñ ham
ya.anī ki barañg-e-nik.hat-e-gul
parde meñ haiñ aur nihāñ nahīñ ham
miltā hai har ik se 'mus.hafī' yaar
samjhe hai ki bad-gumāñ nahīñ ham
Top Urdushayar.com