Mushafi Ghulam Hamdani

main pahron ghar mein paDa dil se baat karta hun

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
maiñ pahroñ ghar meñ paḌā dil se baat kartā huuñ
jab us ke shakl-o-shamā.il se baat kartā huuñ
ba-vaqt-e-zab.h bhī hilte raheñ haiñ lab mere
zi-bas-ki ḳhanjar-e-qātil se baat kartā huuñ
mirī zabāñ ko mirā ham-navā hī samjhe hai
maiñ niim zab.h huuñ bismil se baat kartā huuñ
na naaqa aur na mahmil rahā maiñ saudā.ī
hanūz naaqa o mahmil se baat kartā huuñ
hai in dinoñ mirī āvāz meñ yahāñ tak zo.af
ki apne saath bhī mushkil se baat kartā huuñ
samajh na mauj mire muñh meñ haiñ hazāroñ zabāñ
maiñ bahr huuñ lab-e-sāhil se baat kartā huuñ
maza mile hai mujhe us kī ham-kalāmī kā
maiñ us ke dar ke jo saa.il se baat kartā huuñ
ba-vaqt-e-ā.īna dīdan bulā.ūñ maiñ to kahe
maiñ apne āshiq-e-mā.il se baat kartā huuñ
jo 'mus.hafī' kī sifārish kareñ to bole vo shoḳh
maiñ aise nañg-e-qabā.il se baat kartā huuñ
Top Urdushayar.com