aah hamrāz kaun hai apnā
baḳht-e-nā-sāz kaun hai apnā
kis ke kahlā.eñ ham ki tere sivā
but-e-tannāz kaun hai apnā
baat kah de hai vo tah-e-dil kī
aisā ġhammāz kaun hai apnā
le uḌte tū hī gar na ham ko to phir
shauq-e-parvāz kaun hai apnā
vasl hotā nahīñ, nahīñ ma.alūm
ḳhalal-andāz kaun hai apnā
bolā dekh aa.ina vo hairat se
chehra-pardāz kaun hai apnā
go ki āñkheñ laḌā.eñ ham us se
yaañ nazar-bāz kaun hai apnā
shab-e-furqat meñ juz-dam-e-quliyāñ
yaar dam-sāz kaun hai apnā
be-niyāzī kare jo tū hī to phir
ai hama-nāz kaun hai apnā
'mus.hafī' ham haiñ aur tanhā.ī
sach hai ambāz kaun hai apnā