Mushafi Ghulam Hamdani

ghair ke ghar tu na rah raat ko mehman kahin

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ġhair ke ghar tū na rah raat ko mehmān kahīñ
tā nā is baat kā charchā ho mirī jaan kahīñ
ab talak ġhunche kī gardan hai jhukī ḳhajlat se
us ne dekhī thī tirī gūe-girebān kahīñ
rāz-e-dil us se kahā maiñ to vale ye Dar hai
ki mire raaz ko kah de na vo nādān kahīñ
ai pareshānī-e-zulf-e-sanam-e-kāfir-e-kesh
kījiyo tū na mire dil ko pareshān kahīñ
dil kī bechainī se maiñ saḳht ba-tañg aayā huuñ
chain paḌtā hī nahīñ hai ise ik aan kahīñ
dhānī joḌe ne tire khet rakhā hai mujh ko
sabz rañg itne to dekhe nahīñ haiñ dhaan kahīñ
man.a kis vāste kartā hai maiñ tere sadqe
iid ke din to mujhe hone de qurbān kahīñ
dard-e-dil jā ke maiñ kah luuñ abhī dar ke nazdīk
ek saa.at ko hī uTh jaave jo darbān kahīñ
'mus.hafī' ek ġhazal aur bhī maiñ likhtā huuñ
ye to baiteñ ka.ī maiñ ne bahut āsān kahīñ
Top Urdushayar.com