jaate jaate raah meñ us ne muñh se uThāyā jūñhī pardā
raah ke jaane vāloñ ne bhī muñh us kā phir phir ke dekhā
qais mile to us se pūchhūñ kyā tire jī meñ aa.ī divāne
shahr ko tū ne kis liye chhoḌā kyuuñ ke ḳhush aayā tujh ko sahrā
sub.h se le kar shaam talak yaañ ye vo galī hai jis meñ phireñ haiñ
chāk-girebāñ mu-e-pareshāñ ham se hazāroñ āshiq-e-rusvā
us ne mazā kyā paayā hogā do chullū mai piine kā yaañ
jis mai-kash ke haath na aayā ġhabġhab-e-sāġhar sā.ad-e-mīnā
soḳhtagī ne ġham kī asar jo dil meñ kiyā hai hone lagā hai
thoḌā thoḌā rañg dhueñ ke sabza hamārī ḳhaak se paidā
ik Thokar meñ murde hazāroñ uTh baiTheñ haiñ gor se vohīñ
letā hai vo vaqt-e-ḳharāmash paañv se apne kār-e-masīhā
jaate haiñ nā kisī ke ghar ham aur na koī kuchh detā hai ham ko
qat.a kiye haiñ ham ne donoñ pā-e-talab aur dast-e-tamannā
aañkh laḌānā sāmne aanā muñh dikhlānā aur chhup jaanā
ye bhī adā hai koī zālim maan ḳhudā ko mat de iizā
'mus.hafī' is dilchasp zamīñ meñ tab.a kare gar terī rasā.ī
ḳhāma tirā kuchh kund nahīñ hai ek ġhazal tū aur bhī likh jā