Mushafi Ghulam Hamdani

shab-e-hijran thi main tha aur tanhai ka aalam tha

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
shab-e-hijrāñ thī maiñ thā aur tanhā.ī kā aalam thā
ġharaz us shab ajab hī be-sar-o-pā.ī kā aalam thā
garebāñ ġhuncha-e-gul ne kiyā gulshan meñ sau TukḌe
ki har funduq par us ke turfa rānā.ī kā aalam thā
nihāl-e-ḳhushk huuñ maiñ ab to yaaro kyā huā yaanī
kabhī is bed-e-majnūñ par bhī shaidā.ī kā aalam thā
likhe gar jā o bejā sher maiñ ne Dar nahīñ us kā
ki maiñ yaañ thā safar meñ mujh pe bejā.ī kā aalam thā
hinā bhī to lagā dekhī pe vo aalam kahāñ hai ab
hamāre ḳhuuñ se jo hāthoñ pe zebā.ī kā aalam thā
chalā jab shahr se majnūñ taraf sahrā kī yuuñ bolā
nasīb apne to is aalam meñ rusvā.ī kā aalam thā
ye aalam ham ne dekhā 'mus.hafī' haañ apnī āñkhoñ se
ki banda jī se us māshūq harjā.ī kā aalam thā
Top Urdushayar.com