Mushafi Ghulam Hamdani

rahmat teri ai naqa-kash-e-mahmil-e-haji

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
rahmat tirī ai nāqa-kash-e-mahmil-e-hājī
chāhe to kare rāhib-e-but-ḳhāna ko naajī
kis din na uThā dil se mire shor-e-parastish
kis raat yahāñ ka.abe meñ nāqūs na baajī
maiñ aap kamar-basta huuñ ab qatl pe apne
bin yaar hai jiine se mirā bas ki ḳhafā jī
ik siine meñ dil rakhte haiñ ham so bhī vo kyā dil
jo roz rahe lashkar-e-sultāñ kā ḳharājī
tum shab mujhe dete hue gaalī to ga.e ho
maiñ bhī kisī din tum se samajh lūñgā bhalā jī
shīsha mai-e-gulgūñ kā hai yā rañg-e-shafaq se
rañg apne dikhātā hai mujhe charḳh-e-zujā.ī
ai 'mus.hafī' maiñ afsah-e-shīrīñ-suḳhanāñ huuñ
kab mujh se taraf ho sake hai har koī paajī
Top Urdushayar.com