Mushafi Ghulam Hamdani

ghusse ko jaane dije na tyori chaDhaiye

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ġhusse ko jaane diije na tyorī chaḌhā.iye
maiñ gāliyāñ bhī aap kī khā.īñ ab aa.iye
raftār kā jo fitna uThā thā so ho chukā
ab baiThe baiThe aur koī fitna uThā.iye
merā to kyā dahan hai jo bose kā luuñ maiñ naam
gaalī bhī mujh ko diije to goyā jalā.iye
bolā kisī se maiñ bhī to kyā kuchh ġhazab huā
itnī sī baat kā na batañgaḌ banā.iye
aisā na ho ki jaa.e shitābī se dam nikal
chāk-e-jigar se pahle mirā muñh silā.iye
rakkhā jo ik shahīd kī turbat pe us ne paañv
aa.ī sadā ye vaañ se ki dāman uThā.iye
bikte haiñ tere naam se ham ai kamand-e-zulf
tujh ko bhī chhoḌ dījiye to kis ke kahā.iye
us kī galī na maktab-e-tiflāñ hai 'mus.hafī'
tā chand jā.iye sahar aur shaam aa.iye
Top Urdushayar.com