na samjho tum ki maiñ dīvāna vīrāne meñ rahtā huuñ
ḳhayāl-e-rū-e-ḳhūbāñ se parī-ḳhāne meñ rahtā huuñ
tamāshā-gāh-e-ālam kā tamāshā mujh se mat pūchho
ki juuñ ā.īna meñ hairat ke kāshāne meñ rahtā huuñ
ḳhum-e-joshān-e-ishq-e-be-muhābā huuñ maiñ tab hī to
na shīshe meñ Thahartā huuñ na paimāne meñ rahtā huuñ
sharīf-e-ka.aba nit mujh ko salām-e-shauq bheje hai
maiñ kāfir garche hindustāñ ke but-ḳhāne meñ rahtā huuñ
mujhe ai 'mus.hafī' hai kaam har dam zikr-e-ḳhūbāñ se
isī ḳhātir to maiñ mashġhūl afsāne meñ rahtā huuñ