zaḳhm hai aur namak fishānī hai
dostī dushmanī-e-jānī hai
naqsh-e-avval hai chehra-e-yūsuf
aur tirā chehra naqsh-e-sānī hai
tere kūche se māne-e-raftār
ham ko apnī hī nā-tavānī hai
husn meñ chehra us gul-e-tar kā
naqsh-e-rañgīn-e-kilk-e-mānī hai
us pe parvāne go hujūm kareñ
sham.a kī vo hī kam-zabānī hai
is sarā meñ sabhī musāfir haiñ
ya.anī jo hai so kārvānī hai
aalam us kī safā kā mujh se na pūchh
nazm meñ terī jo ravānī hai
'mus.hafī' sher-e-sāda kahne meñ
vaqt kā apne to fuġhānī hai