Mushafi Ghulam Hamdani

mukh-phaT munh pe khaenge talwar ho so ho

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
mukh-phāT muñh pe khā.eñge talvār ho so ho
dabne ke bhī to us se nahīñ yaar ho so ho
jaanā mujhe bhī ab taraf-e-yār ho so ho
yā bole yā batā.e vo dhutkār ho so ho
sayyād ko to ḳhvāb-e-taġhāful se kaam hai
ahvāl-e-tā.irān-e-giraftār ho so ho
saudā.ī ban ke us pe mujhe haath Dālnā
hañgāma is meñ jo sar-e-bāzār ho so ho
jī par yahī Thanī hai to aaj us ko chheḌ kar
khānī mujhe bhī gāliyāñ do chaar ho so ho
go is meñ hāthā-pā.ī bhī ho jaave Dar nahīñ
lūñgā maiñ us kā bosa-e-ruḳhsār ho so ho
mujh ko bhī kāTnī qafas apne kī tīliyāñ
yā TuuTe yā bache mirī minqār ho so ho
shikva kabhī na yaar kā lāveñge muñh pe ham
ham par jafā-e-charḳh-e-sitam-gār ho so ho
apnī shifā ko apne ḳhudā par tū chhoḌ de
āḳhir to maut hai dil-e-bīmār ho so ho
maanī shabīh-e-yār pe mat aap ko miTā
lūñgā banā maiñ tujh se jo tayyār ho so ho
ai dil! tū sāda-rūyoñ kī bhapkī meñ aa na jā
ik din lipaT ke chhīn le talvār ho so ho
sar phoḌ kar ke jā.eñge us kī galī meñ ham
rañgeñge ḳhuun se dar-o-dīvār ho so ho
san.āñ kī tarah ik but-e-kāfir ke ishq meñ
kāfir ho bāñdhnā hameñ zunnār ho so ho
lenī matā-e-husn hameñ is meñ tājiro!
nuqsān-e-jān-o-māl-e-dil-e-zār ho so ho
shoḳhī hai terī tab.a meñ shiddat se 'mus.hafī'
le bhaag sar se shaiḳh ke dastār ho so ho
Top Urdushayar.com