sāmne āñkhoñ ke har dam tirī timsāl hai aaj
dil bharā aa.e na kyūñkar ki burā haal hai aaj
za.afarāñ-zār meñ laale kī bahār aa kar dekh
ashk-e-ḳhūnīñ se ruḳh-e-zard mirā laal hai aaj
vaqt hai gar to ba-taqrīb-e-iyādat aave
kyūñki bīmār kā tere batar ahvāl hai aaj
turfa hālat hai ki uTh kar maiñ jahāñ jaatā huuñ
tere dīdār kī ḳhvāhish mire dumbāl hai aaj
roz is tuul se kaahe ko kaTe thā merā
nahīñ ma.alūm mujhe roz hai yā saal hai aaj
dil chalā sabr chalā jī bhī chalā jaatā hai
Tuk madad kar tū ki lashkar meñ mire chaal hai aaj
tujh ko chāhā thā maiñ us din ke liye kyā zālim
terī chāhat to mirī jaan kā janjāl hai aaj
din judā.ī kā qayāmat se nahīñ kam har-chand
bīm-e-pursish na ġham-e-nāma-e-āmāl hai aaj
'mus.hafī' karvaTeñ badle hai qalaq meñ tujh bin
ustuḳhvāñ us kā jo hai qur.a-e-rummāl hai aaj