Mushafi Ghulam Hamdani

sar apne ko tujh par fida kar chuke hum

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
sar apne ko tujh par fidā kar chuke ham
haq-e-āshnā.ī adā kar chuke ham
tū samjhe na samjhe hameñ saath tere
jo karnī thī ai bevafā kar chuke ham
ḳhudā se nahīñ kaam ab ham ko yaaro
ki ik but ko apnā ḳhudā kar chuke ham
maiñ pūchhā mirā kaam kis din karoge
to yuuñ muñh phirā kar kahā kar chuke ham
ghuras le tū ab un ko chīre meñ apne
tamāshā-e-zulf-e-dotā kar chuke ham
tū jaave na jaave jo karnī thī ham ko
samājat tirī ai sabā kar chuke ham
na boleñge pyāre tirī hī suneñge
tū dushnām de ab duā kar chuke ham
kabhū kaam apnā kisī se na niklā
bahut ḳhalq kī iltijā kar chuke ham
laḌī 'mus.hafī' aañkh jis se ki apnī
par āḳhir use āshnā kar chuke ham
Top Urdushayar.com