Mushafi Ghulam Hamdani

yaadgar-e-guzishtagan hain hum

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
yādgār-e-guzishtagāñ haiñ ham
ḳhuub dekhā to phir kahāñ haiñ ham
sham.a kī tarah bazm-e-gītī meñ
daaġh baiThe haiñ aur ravāñ haiñ ham
rahe jaate haiñ pīchhe yāroñ se
gard-e-dumbāl-e-kārvāñ haiñ ham
rakh na ḳhanjar ko haath se qātil
tere kushtoñ meñ nīm-jāñ haiñ ham
ābiyār-e-suḳhan hai apnī zabāñ
lafz o ma.anī ke bāġhbāñ haiñ ham
tū hī tū hai jo ḳhuub ġhaur kareñ
ek dhokā sā darmiyāñ haiñ ham
dāvat-e-teġh ke to qābil haiñ
go ki yak-musht-e-ustuḳhāñ haiñ ham
rañg-e-ruḳh par hamāre, zardī sī
nazar aatī hai, kyā ḳhizāñ haiñ ham
go kiyā ham ko sard piirī ne
par abhī tab.a meñ javāñ haiñ ham
aur bhī ham ko rahne de chande
go tirī tab.a par girāñ haiñ ham
bāġhbāñ ab chaman se jāveñ kahāñ
bulbul-e-kohna āshiyāñ haiñ ham
'mus.hafī' shā.erī rahī hai kahāñ
ab to majlis ke rauza-ḳhvāñ haiñ ham
Top Urdushayar.com