in āñkhoñ se aab kuchh na niklā
ġhair-az ḳhūñ-nāb kuchh na niklā
bose kā kyā savāl lekin
us muñh se javāb kuchh na niklā
bāham huī yuuñ to dīd-vā-dīd
par dil kā hijāb kuchh na niklā
juz terī havā ke apne sar meñ
mānind-e-habāb kuchh na niklā
kartā thā bahut sā mujh pe da.avā
par vaqt-e-hisāb kuchh na niklā
siine meñ jo dil kī kī tafahhus
juz dūd-e-kabāb kuchh na niklā
ham samjhe the jis ko 'mus.hafī' yaar
vo ḳhāna-ḳharāb kuchh na niklā