jo parī bhī rū-ba-rū ho to parī ko maiñ na dekhūñ
mirī āñkheñ band kar do ki kisī ko maiñ na dekhūñ
dil-e-garm ḳhūn-e-ulfat mire bar meñ rakh diyā hai
sū-e-gul to multafit huuñ jo kalī ko maiñ na dekhūñ
mirā dil lagā hai jis se mirā jī gayā hai jis par
mirī kyūñ-ki zindagī ho jo usī ko maiñ na dekhūñ
mirī tujh se zindagī hai to mirā jigar hai jī hai
kise dekh kar jiyūñ phir jo tujhī ko maiñ na dekhūñ
mirī kyūñ-ki ho tasallī tū hī 'mus.hafī' batā phir
dil-e-shab bhī us sanam kī jo galī ko maiñ na dekhūñ