sohbat hai tire ḳhayāl ke saath
hai hijr kī shab visāl ke saath
ai sarv-e-ravāñ Tuk ik idhar dekh
jī jaate haiñ terī chaal ke saath
hai teġh o kamān kī sī nisbat
abrū ko tire hilāl ke saath
mat zulf ko shāna kar mirā jī
vābasta hai baal baal ke saath
dil apnā hanūz sādgī se
pechīda hai zulf o ḳhaal ke saath
mehmān thā kis kā tū shab ai maah
aatā hai jo is malāl ke saath
ruḳhsāroñ ne kuchh araq kiyā hai
kuchh chashm hai infi.āl ke saath
maiñ sher huuñ besha-e-suḳhan kā
sohbat hai sag o shaġhāl ke saath
iksīr hai 'mus.hafī' kā milnā
ya.anī ki vo hai kamāl ke saath