Mushafi Ghulam Hamdani

hai tamanna-e-sair-e-bagh kise

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
hai tamannā-e-sair-e-bāġh kise
gul se sāzish kare dimāġh kise
kis kā aalam kahāñ ke baaġh o bahār
apne aalam se hai farāġh kise
us ke āvārgāñ ko DhūñDe hai ḳhalq
un kā miltā hai yaañ surāġh kise
itnā be-sudh nahīñ maiñ ai saaqī
ḳhālī detā hai tū ayāġh kise
tujh bin ai vahshat-e-junūn-e-bahār
ḳhush lage hai ye baaġh o raaġh kise
laala dekh us kī chhab ko kahtā thā
daaġh par de gayā hai daaġh kise
go añdherī hai 'mus.hafī' shab-e-hijr
par huī ḳhvāhish-e-charāġh kise
Top Urdushayar.com