Mushafi Ghulam Hamdani

us but ko nahin hai Dar KHuda se

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
us but ko nahīñ hai Dar ḳhudā se
bigḌī bande se gar ḳhudā se
go ḳhalq bhī jaane haal merā
poshīda nahīñ magar ḳhudā se
hai ham se to aah aah karnā
denā is ko asar ḳhudā se
ham ne use apnā suud jaanā
pahuñchā bhī agar zarar ḳhudā se
dekhā hai maiñ jab se vo but-e-shoḳh
phir ga.ī hai mirī nazar ḳhudā se
bāzīche meñ hai udhar vo mashġhūl
aur ban rahī hai idhar ḳhudā se
kuchh ḳhuub nahīñ ye ḳhud-numā.ī
haañ ai but-e-shoḳh Dar ḳhudā se
hai bair ḳhudā.ī aur ḳhudī meñ
itnī bhī ḳhudī na kar ḳhudā se
ye saare ḳhudā-shanās haiñ lek
detā nahīñ koī ḳhabar ḳhudā se
ai 'mus.hafī' kuchh kamī nahīñ vaañ
jo chāhe so maañg par ḳhudā se
Top Urdushayar.com