Mushafi Ghulam Hamdani

bazm-e-surud-e-KHuban mein go mardnagin shahin bajin

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
bazm-e-surūd-e-ḳhūbāñ meñ go mardnagīñ shāhīn bajīñ
saath faqīr kī Dholak ke par Dham-Dhamyāñ rañgīn bajīñ
nāla-kashī se raat jo gulshan rashk-e-bazm-e-ishrat thā
minqāreñ murġhān-e-chaman kī sub.h talak juuñ biin bajīñ
tujh se na kahtā thā maiñ zāhid mai-ḳhāne kī raah na chal
āḳhir tujh par raste hī meñ tāliyāñ o be-dīn bajīñ
maiñ jo nashe meñ raat huā ġhaTpaT us ma.ashūq kī chhātī saath
pāzebeñ paañv kī us ke kyā hī ba-sad tamkīn bajīñ
sham.a rahī shab jab tak jaltī mujh ko na aa.ī niiñd zarā
jhāñjheñ parvāne ke paroñ kī bas ki sar-e-bālīn bajīñ
balbe mizāj-e-nāzuk terā niiñd uchaT ga.ī us gul kī
bāliyāñ pattoñ se jo ulajh kar raat sar-e-bālīn bajīñ
va.ada kar ke jab vo na aayā sair-e-chaman ko dil ne kahā
raat ga.ī chal baaġh se ab ghaḌiyāñ to ka.ī ġhamgīn bajīñ
jī kā kuḌhānā mere thā manzūr magar ghaḌyāloñ kī
vasl kī shab jo tā-ba-sahar ghaḌyāleñ be-ā.īn bajīñ
DeḌh pahar Thahrūñgā ye kah ki yaar mire ghar aayā thā
par ghabrā ke jaane ko uTThā jūñhī pahar par tiin bajīñ
bāñg-e-hamīr se kam vo na samjhā bas ki nafīs-mizāj thā yaar
nāqūseñ but-ḳhānoñ meñ har chand ba-sad taz.īn bajīñ
aa.e bahtarī ho ke malā.ek mar jo gayā āshiq terā
naubateñ kyā kyā shādī kī marqad meñ dam-e-talqīn bajīñ
vasl kī shab āḳhir hone kā 'mus.hafī' dhaḌkā kyā maiñ kahūñ
jī hī gayā bas tan se nikal jab tiin pahar par tiin bajīñ
Top Urdushayar.com