Mushafi Ghulam Hamdani

kaun is bagh se ai baad-e-saba jata hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kaun is baaġh se ai bād-e-sabā jaatā hai
rañg ruḳhsār se phūloñ ke uḌā jaatā hai
sho.ala-e-sham.a meñ garmī ye kahāñ se aa.ī
is kī garmī se to fānūs jalā jaatā hai
dil ke dhaḌkoñ kā ye aalam hai ki be-minnat-e-dast
purze ho ho ke garebān uḌā jaatā hai
rabt pahle jo tire yaad kabhī kartā huuñ
baiThe baiThe mujhe afsos sā aa jaatā hai
pūchhtā koī nahīñ kab se tire kūche meñ
dil kisī kā hai ki pāmāl huā jaatā hai
ga.e ve din ki tamannā hameñ ik ashk kī thī
ab to in āñkhoñ se dariyā sā bahā jaatā hai
shaam ke vaqt to koThe pe jo aatā hai kabhī
dekh kar tujh ko ye ḳhurshed chhupā jaatā hai
be-adab ke ta.iiñ mutlaq nahīñ sohbat kā shu.ūr
shāna kitnā tirī zulfoñ se lagā jaatā hai
yuuñ qadam rakh na zamīñ par tirī raftār se aah
dil kisī kā hai ki maaTī meñ milā jaatā hai
'mus.hafī' ishq kī vaadī meñ guzar hai kis kā
bhūlā-bhaTkā koī īdhar ko bhī aa jaatā hai
Top Urdushayar.com