fahmīda hai jo tujh ko to fahmīd se nikal
aur diid kā jo shauq hai to diid se nikal
zindān-e-hijr meñ hameñ sauñpā thā ishq ne
aa.e haiñ ham nasīboñ kī tā.īd se nikal
qālib meñ mere yaaro bhalā kyā samāvī dam
jab jaan ko kahe koī tākīd se nikal
tashbīb meñ bhī lutf hai ik ai qasīda-go
itnā shitāb bhī tū na tamhīd se nikal
misre ko pahuñche misra-e-sānī burā hai kyā
kar le nikāh ālam-e-tajrīd se nikal
kar tū uyūb-e-nazm se parhez ai fulāñ
shā.er hai to tanāfur o tāqīd se nikal
haiñ yaad kab ai mirī vahshat ke rañg-Dhañg
majnūñ gayā hai dasht ko taqlīd se nikal
vo mast maiñ nahīñ huuñ ki mastoñ kī khā ke dhuul
jā.ūñ sharāb-ḳhāna-e-tauhīd se nikal
ho 'mus.hafī' tū ilm-e-ilāhī kā āshnā
qaid-e-anāsir aur mavālīd se nikal