Mushafi Ghulam Hamdani

khaDa na sun ke sada meri ek yar raha

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
khaḌā na sun ke sadā merī ek yaar rahā
maiñ rah-ravān-e-adam ko bahut pukār rahā
qafas se chhoḌe hai ab mujh ko kyā tū ai sayyād
chaman ke biich kahāñ mausam-e-bahār rahā
pas-az-vafāt bhī apnī huiiñ na āñkheñ band
zi-bas ki tere hī aane kā intizār rahā
ḳhudā ke vāste ab is se haath uThā ki mire
jigar meñ nam nahīñ ai chashm-e-ashk-bār rahā
huā tū ġhair se jab ham-kanār mere saath
kahāñ vo vaada rahā aur kahāñ qarār rahā
karūñ jo chaak garebāñ ko apne huuñ majbūr
ki mere haath meñ merā na iḳhtiyār rahā
na sair-e-lāla-o-gul ham ko kuchh nazar aa.ī
ki nok-e-har-mizha par yaañ dil-figār rahā
galī meñ us kī ga.e aur vahāñ se phir aa.e
tamām umr yahī apnā kārobār rahā
ġhazal ik aur bhī ai 'mus.hafī' sunā de tū
koī kahe na ki banda ummīd-vār rahā
Top Urdushayar.com