sher daulat hai kahāñ kī daulat
maiñ ġhanī huuñ to zabāñ kī daulat
saikḌoñ ho ga.e sāhib-dīvāñ
merī taqrīrī o bayāñ kī daulat
sair-e-mahtāb kar aa.e ham bhī
baare is āb-e-ravāñ kī daulat
zaḳhm kyā kyā mire tan par aa.e
terī shamshīr o sināñ kī daulat
huī mahbūs-e-qafas bulbul ne
rañj dekhā ye ḳhizāñ kī daulat
koī navvāb ke ghar kā hai ġhulām
koī paltā.e hai ḳhaañ kī daulat
'mus.hafī' par hai tirā karr-o-farr
sāhib-e-ālamiyāñ kī daulat