har chand amradoñ meñ hai ik raah kā mazā
ġhair-az-nisā vale na milā chaah kā mazā
ḳhatre se us ke kar nahīñ saktā maiñ aah bhī
letā huuñ jī hī jī meñ sadā aah kā mazā
apnī to umr roz-e-siyah meñ guzar ga.ī
dekhā kabhī na ham ne shab-e-māh kā mazā
billāh kah ke us ne qasam khaa.ī thī kahīñ
vallāh bhūltā nahīñ billāh kā mazā
bose ke jo savāl pe us ne kahā thā vaah
ab tak phire hai dil meñ vahī vaah kā mazā
lazzat ko us ke samjheñ haiñ kyā sāhib-e-vara.a
koī pūchhe ahl-e-fisq se to baah kā mazā
kyā vo bhī din the ḳhuub ki lūTeñ the 'mus.hafī'
ham bhī nazāra-e-gah-o-be-gāh kā mazā