Mushafi Ghulam Hamdani

tamashe ki shaklen ayan ho gai hain

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tamāshe kī shakleñ ayaañ ho ga.ī haiñ
bahāreñ bahut yaañ ḳhizāñ ho ga.ī haiñ
ḳhabar pas-ravoñ se tum un kī na pūchho
jo rūheñ adam ko ravāñ ho ga.ī haiñ
nikālī haiñ jo ham ne auj-e-suḳhan se
zamīneñ vo sab āsmāñ ho ga.ī haiñ
unheñ farz hai tiir kā kis ke sajda
jo meve kī shāḳheñ kamāñ ho ga.ī haiñ
vo but qat.a kartā hai zulfoñ ko shāyad
nazākat par us kī girāñ ho ga.ī haiñ
Tuk ai bāġhbāñ rahm kar bulbuloñ par
ḳhizāñ meñ ye be-āshiyāñ ho ga.ī haiñ
maiñ royā huuñ yaañ tak judā.ī meñ terī
ki āñkheñ mirī nāvdāñ ho ga.ī haiñ
judā.ī meñ us zulf kī misl-e-shāna
mirī uñgliyāñ ustuḳhvāñ ho ga.ī haiñ
ruḳh us kā maiñ ai 'mus.hafī' kyuuñ ki dekhūñ
nigāheñ mirī bad-gumāñ ho ga.ī haiñ
Top Urdushayar.com