Mushafi Ghulam Hamdani

munh chhupao na tum naqab mein jaan

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
muñh chhupāo na tum naqāb meñ jaan
yūñhī āshiq kī hai azaab meñ jaan
juuñ sī chuTkī meñ le ke mal Daalī
ham se āshiq kī hai azaab meñ jaan
ḳhūbī-e-husn ne tirī na rakhī
baaqī ik zarra shaiḳh o shaab meñ jaan
kis kī zulfoñ ke pech-o-tāb se hai
raat din merī pech-o-tāb meñ jaan
saḳht mushtāq hai tumhārā dil
muñh dikhāo kabhī to ḳhvāb meñ jaan
ek din tum ne kī na baat kabhū
mar ga.e ham to is hijāb meñ jaan
nit tire intizār-e-ġhusl se hai
bahr ke dīda-e-hubāb meñ jaan
mah ne ai shahsavār-e-arsa-e-husn
āqibat dī tirī rikāb meñ jaan
us ne bhar kar nigāh dekhā thā
nahīñ us din se āftāb meñ jaan
sar-e-ātish jo ashk-e-rezāñ thā
kisī āshiq kī thī kabāb meñ jaan
'mus.hafī' thā zi-bas-ki āshiq-e-sher
marte marte rahī kitāb meñ jaan
Top Urdushayar.com