Mushafi Ghulam Hamdani

har dam aate hain bhare dida-e-giryan tujh bin

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
har dam aate haiñ bhare dīda-e-giryāñ tujh bin
mujh ko ye Dar hai ki laa.eñ na ye tūfāñ tujh bin
lāla-o-gul kī taraf kis kī balā dekhe hai
jī ko bhātī hī nahīñ sair-e-gulistāñ tujh bin
aa gayā bas-ki ḳhalal maz.hab-o-millat meñ mirī
na rahā gabr meñ pyāre na musalmāñ tujh bin
dil gayā diin gayā sabr gayā taab ga.ī
yuuñ hī apne to hue saikḌoñ nuqsāñ tujh bin
na khile ġhuncha-e-tasvīr ke mānind kabhū
lab-e-ḳhāmosh mire ai gul-e-ḳhandāñ tujh bin
jab se ai gul tū gayā bistar-e-āshiq pe tire
gul-e-bālīñ na hue sumbul-o-raihāñ tujh bin
sāmne se mirī āñkhoñ ke na jā maan kahā
kis ko dekhūñgā maiñ phir ai mah-e-tābāñ tujh bin
roz dushman kā bhī is tarah na kaTiyo yā-rab
maiñ ne jis zulm se kaaTī shab-e-hijrāñ tujh bin
mah-e-nau shaam ke hote hī tasavvur meñ tire
thā khaḌā sar pe liye ḳhanjar-e-uryāñ tujh bin
aur jo jaatī thī kabhī ḳhosha-e-parvīñ pe nigāh
vo bhī lagtā thā sanam dasta-e-paikāñ tujh bin
'mus.hafī' jā ke gulistāñ meñ kare kyā pyāre
ki gulistāñ hai use ḳhāna-e-zindāñ tujh bin
Top Urdushayar.com