ḳhudā kī qasam phir to kyā ḳhair hove
ham aur tum akele hoñ aur sair hove
kareñ ġhair kā shikva kis taur phir ham
na apne sivā jab koī ġhair hove
ziyārat kareñ dil meñ ka.abe kī apne
jo mujh sā koī sākin-e-dair hove
mile aise zardār se kis kī juutī
na tayyār jis se tirā pair hove
agar ḳhāmushī ko maiñ goyā.ī likkhūñ
to dīvāñ mirā mantiquttair hove
huā ḳhasm-e-jāñ 'mus.hafī' vo to terā
na insāñ ko insān se bair hove