mushtāq hī dil barsoñ us ġhuncha-dahan kā thā
yaaro mire aur us ke kab rabt suḳhan kā thā
vaañ bāloñ meñ vo mukhḌā jaatā thā chhupā kam kam
yaañ hashr mire dil par ik chāñd gahan kā thā
the ḳhatt-e-shikasta kī ruḳhsār tire ta.alīm
az-bas-ke hujūm un par zulfoñ kī shikan kā thā
parvāne kī himmat ke sadqe meñ ki dī shab vo
is be-par-o-bālī par qurbān lagan kā thā
āḳhir ko hameñ zālim pāmāl kiyā tū ne
andesha hameñ dil meñ tere hī chalan kā thā
maiñ us qad o aariz ko kar yaad bahut royā
mazkūr gulistāñ meñ kuchh sarv-o-saman kā thā
juuñ ashk-e-sar-e-mizhgāñ ham phir na nazar aa.e
az-bas-ke yahāñ vaqfa ik chashm-e-zadan kā thā
do phuul koī rakh kar guzrā thā jo kal yaañ se
turbat pe mirī bulvā murġhān-e-chaman kā thā
jis murġh-e-chaman ko maiñ dekhā to chaman meñ bhī
hasrat-kash-e-nazzāra us rashk-e-chaman kā thā
shab dekh mah-e-tābāñ thā 'mus.hafī' tū hairāñ
kyā is meñ bhī kuchh naqsha us sīm-badan kā thā