Mushafi Ghulam Hamdani

awwal to ye dhaj aur ye raftar ghazab hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
avval to ye dhaj aur ye raftār ġhazab hai
tis pe tire pāzeb kī jhankār ġhazab hai
kyūñkar na tujhe dauḌ ke chhātī se lagā luuñ
phūloñ kā gale meñ tire ye haar ġhazab hai
jab dekhūñ huuñ kartī hai mire dil ko pareshāñ
āshuftagī-e-turra-e-tarrār ġhazab hai
ai kaash ye āñkheñ mujhe ye din na dikhātīñ
is shauq pe mahrūmī-e-dīdār ġhazab hai
ḳhurshīd kā muñh hai ki taraf ho sake us se
ya.anī vo bar-afroḳhta ruḳhsār ġhazab hai
maiñ aur kisī baat kā shākī nahīñ tujh se
ye vaqt ke uupar tirā inkār ġhazab hai
ab tak haram-e-vasl se mahram na hue ham
ka.abe meñ hijāb-e-dar-o-dīvār ġhazab hai
gar ek ġhazab ho to koī us ko uThāve
raftār ġhazab hai tirī guftār ġhazab hai
farhād bachā ishq se ne qais na vāmiq
jī le hī ke jaatā hai ye āzār ġhazab hai
ai 'mus.hafī' is shauq se Tuk bach ke tū chalnā
suntā hai miyāñ vo but-e-ḳhūñ-ḳhār ġhazab hai
Top Urdushayar.com