bahs us kī merī vaqt-e-mulāqāt baḌh ga.ī
bāteñ huiiñ kuchh aisī ki bas baat baḌh ga.ī
bolā na murġh-e-sub.h na aa.ī sadā-e-āh
yā-rab shab-e-firāq kī kyā raat baḌh ga.ī
islāh bhī zarūrī hai ab is kī shaiḳh-jī
dāḌhī tumhārī qibla-e-hājāt baḌh ga.ī
pahuñche thā apnā dast-e-havas jis pe gaah gaah
vo shāḳh-e-meva-dār bhī haihāt baḌh ga.ī
shimla rakhā jo dosh pe lañgūr kī sī dum
kyā is meñ shaiḳh-jī kī karāmāt baḌh ga.ī
jis din se un pe parda-e-poshīdgī paḌā
us din se qadr-e-ālam-e-jinnāt baḌh ga.ī
diiñ gāliyāñ jo tū ne sanam ik ġharīb ko
kyā gāliyāñ diye se tirī zaat baḌh ga.ī
de 'mus.hafī' ko ne.amat-o-daulat tū ai karīm
tā sab kaheñ ki us kī ab auqāt baḌh ga.ī